is rang mein apne dil-e-nadan se gila hai
jaise hamein kul aalam-e-imkan se gila hai
kis aankh ne samjha meri be-baal-o-pari se
jo kuchh mujhe diwar-e-gulistan se gila hai
aa KHanjar-e-dildar mere dil ko suna de
shayad tujhe kuchh meri rag-e-jaan se gila hai
chhoDa hai kahan sath mere dast-e-junun ka
kam-maegi-e-daman-e-imkan se gila hai
kahte hain bas utni hi teri tab-e-yaqin thi
hai kufr se shikwa mere iman se gila hai
ek lafz-e-tasalli mere hisse mein na aaya
ai zauq-e-samaat lab-e-jaanan se gila hai
mil jati hai jaan qarz magar mai nahin milti
begangi-e-baada-faroshan se gila hai
iman ka pindar liye phirta hun har su!
ye bhi usi ghaarat-gar-e-iman se gila hai
kaise dil-e-tanha ne banae hain muKHatab
diwaron se shikwa dar-e-zindan se gila hai
kahte hain 'saba' chandni gulshan ki na dekhe
us shaKHs ko arbab-e-gulistan se gila hai
Ghazal
Is rang mein apne dil-e-nadan se gila hai
Saba Akbarabadi