is raaz ke baatin tak pahuncha hi nahin koi
kyun lauT ke ghar apne aaya hi nahin koi
ab shahr ki KHamoshi virane se milti hai
aawaz lagai to bola hi nahin koi
har roz dikhai den sab log wahin lekin
jab DhunDne niklen to milta hi nahin koi
hone se ki jin ke tha basti ka bharam qaem
atraf mein shahron ke sahra hi nahin koi
thak-haar ke aa baiThe us peD-tale aaKHir
jis peD-tale 'farruKH' saya hi nahin koi
Ghazal
Is raaz ke baatin tak pahuncha hi nahin koi
Farrukh Jafari