is rah mein aate hain bayaban bhi chaman bhi
kahte hain jise zist shabistan bhi hai ran bhi
kya ho gaya insan ka wo shauq-e-shahadat
viran nazar aate hain ab dar-o-rasan bhi
bujh jaegi mil-jul ke agar pyas bujhao
ganga hi ke nazdik to hai rud-e-jaman bhi
ab lala-ba-daman na koi chaak-gareban
viran chaman hi nahin sunsan hai ban bhi
ek hum hi nahin aabla-pa dasht-o-daman mein
aate hain nazar KHak-basar lala-badan bhi
KHali nahin ab daman-e-hasrat mera 'darshan'
ham-rah-e-wafa mujh ko mila ishq-e-watan bhi
Ghazal
Is rah mein aate hain bayaban bhi chaman bhi
Darshan Singh