اردو हिंदी
Is rah-e-mohabbat mein to aazar mile hain | Shaahi Shayari
is rah-e-mohabbat mein to aazar mile hain

Ghazal

Is rah-e-mohabbat mein to aazar mile hain

Hakeem Nasir

;

is rah-e-mohabbat mein to aazar mile hain
phulon ki tamanna thi magar KHar mile hain

anmol jo insan tha wo kauDi mein bika hai
duniya ke kai aise bhi bazar mile hain

jis ne bhi mujhe dekha hai patthar se nawaza
wo kaun hain phulon ke jinhen haar mile hain

malik ye diya aaj hawaon se bachana
mausam hai ajab aandhi ke aasar mile hain

duniya mein faqat ek zuleKHa hi nahin thi
har yusuf-e-sani ke KHaridar mile hain

ab un ke na milne ki shikayat na gila hai
hum jab bhi mile KHud se to be-zar mile hain

'nasir' ye tamanna thi mohabbat se milenge
wo jab bhi mile bar-sar-e-paikar mile hain