is qadar sachchai se bezar duniya ho gai
zad pe gardan hai miri, talwar duniya ho gai
us ke dil mein nim goli, shahd baaton mein rakhe
puchhte kya ho miyan! makkar duniya ho gai
be-hayai bewafai be-yaqini be-hisi
kaise kaise KHanjaron ki dhaar duniya ho gai
maslahat ne kis qadar tabdil us ko kar diya
ghair main hun in dinon gham-KHwar duniya ho gai
kya samajhte ho yaqin kar legi tum kuchh bhi kaho
soch kar dena bayan hoshyar duniya ho gai
kya sahafi kya muarriKH kaise aalim kya adib
dekhte hi dekhte bazar duniya ho gai
haar kar jis ne kiya hai us se samjhauta 'faraaz'
han usi ke waste hamwar duniya ho gai
Ghazal
Is qadar sachchai se bezar duniya ho gai
Mujahid Faraaz