is qadar kin jazba-e-ulfat ki parda-poshiyan
Das rahi hain aaj KHud mujh ko meri KHamoshiyan
kaun se sahra ke kanTe bichh gae hain rah mein
kaun si manzil pe aa kar luT gain gul-poshiyan
kya hua wo soz-e-furqat aur surur-e-intizar
dil se teri yaad ki din raat ham-aghoshiyan
har ek aahaT par tere aane ka hota tha guman
KHak mein sab mil gain hain wo hama-tan-goshiyan
phiki phiki ho gai hai ab teri tahrir bhi
ranjish-e-paiham ne teri chhin lin mai-noshiyan
bad-gumani ki hawa se gul na ho sham-e-wafa
zehn-o-dil mein ho rahi hain aaj ye sargoshiyan
umr bhar ka gham bani hai 'nur' wo pal ki KHushi
hosh ke aalam mein bhi chhane lagin be-hoshiyan
Ghazal
Is qadar kin jazba-e-ulfat ki parda-poshiyan
Noor Fatima Noor