is qadar ghaur se dekha hai sarapa us ka
yaad aata hi nahin ab mujhe chehra us ka
us pe bas aise hi ghabrai hui phirti thi
aankh se husn simaTta hi nahin tha us ka
sath-e-ehsas pe Thahra nahin sakte jis ko
ek ek KHat mein tawazun hai kuchh aisa us ka
apne hathon se kami mujh pe na rakkhi us ne
meri to lauh-e-muqaddar bhi hai likkha us ka
main ne sahil pe bichha di hai saf-e-matam-e-hijr
lahr koi to miTa degi fasana us ka
wasl aur hijr ke ma-bain khaDa hun 'kashif'
tai na ho paya talluq kabhi mera us ka
Ghazal
Is qadar ghaur se dekha hai sarapa us ka
Syed Kashif Raza