اردو हिंदी
Is qadar bhi to na jazbaat pe qabu rakkho | Shaahi Shayari
is qadar bhi to na jazbaat pe qabu rakkho

Ghazal

Is qadar bhi to na jazbaat pe qabu rakkho

Iftikhar Naseem

;

is qadar bhi to na jazbaat pe qabu rakkho
thak gae ho to mere kandhe pe bazu rakkho

bhulne pae na is dasht ki wahshat dil se
shahr ke bich raho bagh mein aahu rakkho

KHushk ho jaegi rote hue sahra ki tarah
kuchh bacha kar bhi to is aankh mein aansu rakkho

raushni hogi to aa jaega rah-raw dil ka
us ki yaadon ke diye taq mein har-su rakkho

yaad aaegi tumhaari hi safar mein us ko
us ke rumal mein ek achchhi si KHushbu rakkho

ab wo mahbub nahin apna magar dost to hai
us se ye ek talluq hi bahar-su rakkho