اردو हिंदी
Is qadar bhi to meri jaan na tarsaya kar | Shaahi Shayari
is qadar bhi to meri jaan na tarsaya kar

Ghazal

Is qadar bhi to meri jaan na tarsaya kar

Mushafi Ghulam Hamdani

;

is qadar bhi to meri jaan na tarsaya kar
mil ke tanha tu gale se kabhi lag jaya kar

dekh kar hum ko na parde mein tu chhup jaya kar
hum to apne hain miyan ghair se sharmaya kar

ye buri KHu hai dila tujh mein KHuda ki saugand
dekh us but ko tu hairan na rah jaya kar

hath mera bhi jo pahuncha to main samjhunga KHub
ye anguTha tu kisi aur ko dikhlaya kar

gar tu aata nahin hai aalam-e-bedari mein
KHwab mein tu kabhi ai rahat-e-jaan aaya kar

ai saba auron ki turbat pe gul-afshani chand
jaanib-e-gor-e-ghariban bhi kabhi aaya kar

hum bhi ai jaan-e-man itne to nahin nakara
kabhi kuchh kaam tu hum ko bhi to farmaya kar

tujh ko kha jaega ai 'mushafi' ye gham ek roz
dil ke jaane ka tu itna bhi na gham khaya kar