is qadar aap ka itab rahe
dil ko mere na iztirab rahe
na paTi un se pyar ki mizan
han magar ranj be-hisab rahe
yun shab-e-wasl ka hai aalam yaad
jaise barson ki yaad KHwab rahe
haal-e-dil sun ke bol uTha qasid
yaad kis ko ye sab kitab rahe
muntazir hun kisi ke aane ka
kis ki aankhon mein aa ke KHwab rahe
subh ke is hijab ne mara
raat bhar aise be-hijab rahe
ghair ka munh aur aap se baaten
aisi baaton se ijtinab rahe
hum bhi mar kar azab se chhuTe
aap bhi daKHil-e-sawab rahe
hae wo din KHuda na lae yaad
hum se ruThe jo kuchh janab rahe
bahr-e-hasti se kuch hai darpesh
yaad mansuba-e-hubab rahe
ek dam ka yahan tawaqquf hai
KHema be-chob be-tanab rahe
kuchh na ban aai us ke aage 'nizam'
do hi baaton mein la-jawab rahe
Ghazal
Is qadar aap ka itab rahe
Nizam Rampuri