اردو हिंदी
Is naznin ki baaten kya pyari pyariyan hain | Shaahi Shayari
is naznin ki baaten kya pyari pyariyan hain

Ghazal

Is naznin ki baaten kya pyari pyariyan hain

Mushafi Ghulam Hamdani

;

is naznin ki baaten kya pyari pyariyan hain
palken hain jis ki chhuriyan aankhen kaTariyan hain

is baat par bhala hum kyunkar na zahr khawen
hum se wahi rukawaT ghairon se yariyan hain

Tuk safha-e-zamin ke KHake pe ghaur kar tu
sanea ne is pe kya kya shaklen utariyan hain

dil ki tapish ka apni aalam hi kuchh juda hai
simab o barq mein kab ye be-qarariyan hain

un mahmalon pe aawe majnun ko kyun na hasrat
jin mahmalon ke andar do do swariyan hain

jaga hai raat pyare tu kis ke ghar jo teri
palken nadidiyan hain aankhen KHumariyan hain

naumid hain ba-zahir go wasl se hum us ke
dil mein to sau tarah ki ummidwariyan hain

kya puchhta hai hamdam ahwal 'mushafi' ka
raaten andheriyan aur aKHtar-shumariyan hain