اردو हिंदी
IsMein koi fareb to ai aasman nahin | Shaahi Shayari
isMein koi fareb to ai aasman nahin

Ghazal

IsMein koi fareb to ai aasman nahin

Qamar Jalalvi

;

is mein koi fareb to ai aasman nahin
bijli wahan giri hai jahan aashiyan nahin

sayyaad main asir kahun kis se haal-e-dil
sirf ek tu hai wo bhi mera ham-zaban nahin

tum ne diya hamari wafaon ka kya jawab
ye hum wahan bataenge tum ko yahan nahin

sajde jo but-kade mein kiye meri kya KHata
tum ne kabhi kaha ye mera aastan nahin

gum-karda rah ki kahin miTTi na ho KHarab
gard us taraf uDi hai jidhar karwan nahin

kyun sham-e-intizar bujhate ho ai 'qamar'
nale hain ye kisi ke sahar ki azan nahin