is mariz-e-gham-e-ghurbat ko sambhaala de do
zehn-e-tarik ko yaadon ka ujala de do
hum hain wo log ki beqaum watan kahlae
hum ko jine ke liye koi hawala de do
main bhi sach kahta hun is jurm mein duniya walo
mere hathon mein bhi ek zahr ka piyala de do
ab bhi kuchh log mohabbat pe yaqin rakhte hain
ho jo mumkin to unhen des nikala de do
wo nirale hain karo zikr tum un ka 'danish'
apni ghazlon ko bhi andaz nirala de do
Ghazal
Is mariz-e-gham-e-ghurbat ko sambhaala de do
Aqeel Danish