is marg ko kab nahin main samjha
har dam dam-e-wapsin main samjha
andaz tera bas ab na kar shor
ai nala-e-atishin main samjha
tab mujh ko ajal hui gawara
jab zahr ko angbin main samjha
ek KHalq ki sarnawisht banchi
apna na KHat-e-jabin main samjha
jun shana kabhu tah-e-pench tere
ai kakul-e-ambarin main samjha
kya faeda aah-e-dam-ba-dam se
hai dard-e-dil-e-hazin main samjha
phir is mein na shak ne rah pai
jis baat ko bil-yaqin main samjha
jab uTh gai zid to har suKHan mein
samjha to kahin kahin main samjha
mu-e-kamar us ka kya hai ai aql
samjha tu mujhe nahin main samjha
likkhi ghazal is mein 'mushafi' jald
jis ko ki nai zamin main samjha
Ghazal
Is marg ko kab nahin main samjha
Mushafi Ghulam Hamdani

