is mahina bhar kahan tha saqiya achchhi tarah
aa idhar aa id to mil len zara achchhi tarah
ungliyan kanon mein rakh kar ai musafir sun zara
aa rahi hai saf aawaz-e-dara achchhi tarah
chashm-e-musa la saki ek us ke jalwe ki na tab
chashm-e-dil se jis ko dekha bar-ha achchhi tarah
fasla aisa nahin kuchh arsh ki zanjir se
kya kahun baDhta nahin dast-e-dua achchhi tarah
ahl-e-surat ko nahin hai achchhi sirat se gharaz
achchhi surat chahiye achchhi ada achchhi tarah
shahidan-e-lala-o-gul ki KHabar lai hai kuchh
sal bhar ke baad aai ai saba achchhi tarah
sikh legi bal ki lena ta-kamar aane to do
bal abhi karti nahin zulf-e-dota achchhi tarah
shisha-o-jam-o-subu bhar le mai-e-gul-rang se
aaj saqi ghir ke aai hai ghaTa achchhi tarah
lete hain ahl-e-junun kya kya tasawwur ke maze
aankh se pariyon ko dekha bar-ha achchhi tarah
de rahi hai us ki KHamoshi sada-e-dur-bash
ye nahin kahta ki 'nazm'-e-mubtala achchhi tarah

Ghazal
Is mahina bhar kahan tha saqiya achchhi tarah
Nazm tabaa-tabaa.ii