is liye jafaon par mujh ko muskurana tha
aur us sitam-gar ka hausla baDhana tha
aansuon ki qimat jab motiyon se baDh kar thi
wo meri mohabbat ka aur hi zamana tha
jab sitam se Darte the ab karam se Darte hain
ye bhi ek zamana hai wo bhi ek zamana tha
zindagi ne luTa hai zindagi ko danista
maut se shikayat kya maut ka bahana tha
wo bhi daur guzra hai jab meri wafaon se
aap hi nahin tanha bad-guman zamana tha
ai 'nasim' gulshan mein jab bahaar ke din the
dosh par fazaon ke mera aashiyana tha
Ghazal
Is liye jafaon par mujhko muskurana tha
Naseem Shahjahanpuri