is liye dil bura kiya hi nahin
zindagi mera faisla hi nahin
is qadar shor tha mere sar mein
apni aawaz par ruka hi nahin
baDi KHwahish thi mujh ko hone ki
ho gaya hun to kuchh hua hi nahin
zulm karta hun zulm sahta hun
main kabhi chain se raha hi nahin
paD gaya hai KHuda se kaam mujhe
aur KHuda ka koi pata hi nahin
toD Dalo ye hath panw mere
jism ka to muqabla hi nahin
tum kahan ho zara sada to do
is se aage to rasta hi nahin
Ghazal
Is liye dil bura kiya hi nahin
Faizi