is ko koi gham nahin hai jis ka ghar patthar ka hai
kya karega tez tufan baam-o-dar patthar ka hai
aise insan se kabhi ummid kya rakhe koi
dekhne mein aadmi hai dil magar patthar ka hai
kaun sa hai shahr jis mein main bhaTak kar aa gaya
raste patthar ke hain aur baam-o-dar patthar ka hai
aa gae hain aag ki zad mein hazaron jhonpaDe
mujh ko lekin hai tasalli apna ghar patthar ka hai
apne daman mein chhupaen kyun nahin bachche inhen
hain sabhi TuTe khilaune phir bhi Dar patthar ka hai
un se ummid-e-wafa rakhna bhi 'nayyar' hai fuzul
be-murawwat sab ke sab hain aur nagar patthar ka hai
Ghazal
Isko koi gham nahin hai jis ka ghar patthar ka hai
Azhar Naiyyar