is ki judai kaise kamalat kar gai
wo KHwab ban ke mujh se mulaqat kar gai
dekha use jo main ne to kuchh bhi na sun saka
kya baat kar rahi thi wo kya baat kar gai
nadida manzilon ke liye raston ki dhul
jab kahkashan bani to karamat kar gai
raaton se chhin kar wo charaghon ki raushni
jab subh ho gai to use raat kar gai
hadd-e-adab mein yun to mare sil gae the honT
ek KHamushi bhi kitne sawalat kar gai
phir is ke baad meri samaat hi kho gai
kanon mein mere jaane wo kya baat kar gai
aankhon mein kuchh nami to hamesha rahi hai 'shad'
aankhon ki us nami ko wo barsat kar gai
Ghazal
Isko judai kaise kamalat kar gai
Ashraf Shad