is KHizan ki rut mein apna sath achchha rah gaya
sab parae ho gae ek main hi apna rah gaya
zindagi hamwar thi to sath tha amboh ek
zindagi ke moD par pahuncha to tanha rah gaya
kal saja tha jin ke chehron par mohabbat ka naqab
kitni hairat se unhen main aaj takta rah gaya
ek saya tha chala subh-e-azal mujh se tawil
aafaton ka aaftab aaya to chhoTa rah gaya
wo zamana tha kabhi ki tha hujum ek subh o sham
yaad tha sab kuchh hamein bas yaad itna rah gaya
jo kisi ke jism ka kal tak raha tha ek libas
ab alaihida yun hua ki koi nanga rah gaya
har hasin chehre pe jam kar rah gai mausam ki gard
har hasin chehra mere albam ka dhundla rah gaya
main bhala kaise karun pabandi-e-ahl-e-fareb
maslahat mein Dub kar kaise wo sachcha rah gaya
jab hui hai gham ki yurish har taraf se be-hisab
main ne KHushiyan banT din aur KHud nihatta rah gaya
har koi tark-e-talluq par musir hai ab 'KHayal'
aa mere dil tu bhi aa ja kis ka dhaDka rah gaya

Ghazal
Is KHizan ki rut mein apna sath achchha rah gaya
Mustahsin Khayal