is KHar-mizaji mein phulon ki tarah khilna
sau bar gile karna ek bar gale milna
manind-e-shajar ho tum rukta hai ruke mausam
KHushbu ko hawa de kar shaKHon ki tarah hilna
kuchon mein gharon mein ab ek shor sharaba hai
hota nahin apnon se barson mein kabhi milna
chehron ke muqaddar mein kyun jabr bhi shamil hai
bas mein nahin murjhana qabu mein nahin khilna
duri jo mahakti hai ek umr ka hasil hai
ek zaKHm hai nazdiki khilna na kabhi silna

Ghazal
Is Khaar-mizaji mein phulon ki tarah khilna
Rauf Khalish