is KHak-dan mein ab tak baqi hain kuchh sharar se
daman bacha ke guzro yaadon ki rahguzar se
har har qadam pe aankhen thin farsh-e-rah lekin
wo raushni ka haala utra na baam par se
kyun jada-e-wafa par mishal-ba-kaf khaDe ho
is sail-e-tirgi mein niklega kaun ghar se
kis dasht ki sada ho itna mujhe bata do
har-su bichhe hain raste aaun to main kidhar se
ujDa hua makan hai ye dil jahan pe har shab
parchhaiyan lipaT kar roti hain baam-o-dar se
Ghazal
Is KHak-dan mein ab tak baqi hain kuchh sharar se
Shakeb Jalali