is ke aage pyar ke jazbon ki aaraish na kar
zard registan mein phulon ki afzaish na kar
ye to ho sakta hai ki donon ki manzil ek ho
phir bhi us ke ham-safar hone ki farmaish na kar
munhasir us par bhi hai wo pas aae ya na aae
ai mere dil qurbaton ki mujh se farmaish na kar
hum ne mana chand sa raushan tera mahbub hai
tu magar us chand ki lafzon se paimaish na kar
KHud pe jo nazan hai 'anwar' teri chahat par nahin
us pari-paikar ke aage dil ki zebaish na kar
Ghazal
Is ke aage pyar ke jazbon ki aaraish na kar
Anvar Kaifi