is kashakash mein yahan umr-e-rawan guzre hai
jaise sahra se koi tishna-dahan guzre hai
is tarah talKHi-e-ayyam se baDhti hai KHarash
jaise dushnam azizon pe garan guzre hai
is tarah dost dagha de ke chale jate hain
jaise har nafa ke raste se ziyan guzre hai
yun bhi pahunche hain kuchh afsane haqiqat ke qarib
jaise kabe se koi pir-e-mughan guzre hai
hum gunahgar jo us samt nikal jate hain
ek aawaz si aati hai fulan guzre hai
Ghazal
Is kashakash mein yahan umr-e-rawan guzre hai
Shorish kashmiri