is kamre mein KHwab rakhe the kaun yahan par aaya tha
gum-sum raushan-dano bolo kya tum ne kuchh dekha tha
andhe ghar mein har jaanib se bad-ruhon ki yurish thi
bijli jalne se pahle tak wo sab thin main tanha tha
mujh se chauthi bench ke upar kal shab jo do sae the
jaane kyun aisa lagta hai ek tere sae sa tha
suraj uncha ho kar mere aangan mein bhi aaya hai
pahle nicha tha to unche minaron par baiTha tha
mazi ki nili chhatri par yaadon ke angare the
KHwahish ke pile patton par girne ka Dar baiTha tha
dil ne ghanTon ki dhaDkan lamhon mein puri kar Dali
waise anjaani laDki ne bas ka Time puchha tha
Ghazal
Is kamre mein KHwab rakkhe the kaun yahan par aaya tha
Fazl Tabish