is kaDi dhup ke sannaTe mein hairan hua
ghar se jo bhi nikal aaya wo pasheman hua
hasraten KHak uDati hain har ek qarye mein
dil ki ek shahr-e-nigaran tha bayaban hua
muddaten guzrin to ek qatra guhar ban paya
sadiyan bitin to kahin aadmi insan hua
sar-e-sahil the to ye sail-e-bala kuchh bhi na tha
zad mein jab aae to andaza-e-tufan hua
hum sar-e-tur bhi pahunche magar ai husn-e-azal
tere milne ka na phir bhi koi imkan hua
sar jhukae hue kyun baiThe hain arbab-e-wafa
marhala kaun sa mushkil tha jo aasan hua
na dar-o-baam pe raunaq na jharokon mein bahaar
dil-e-viran ki tarah shahr bhi sunsan hua
tu bhi is gham-kada-e-dahr mein aa kar 'mohsin'
bu-e-gul ki tarah aawara-e-hairan hua
Ghazal
Is kaDi dhup ke sannaTe mein hairan hua
Mohsin Ehsan