is ka gila nahin ki dua be-asar gai
ek aah ki thi wo bhi kahin ja ke mar gai
ai ham-nafas na puchh jawani ka majra
mauj-e-nasim thi idhar aai udhar gai
dam-e-gham-e-hayat mein uljha gai umid
hum ye samajh rahe the ki ehsan kar gai
is zindagi se hum ko na duniya mili na din
taqdir ka mushahida karte guzar gai
anjam-e-fasl-e-gul pe nazar thi wagarna kyun
gulshan se aah bhar ke nasim-e-sahar gai
bas itna hosh tha mujhe roz-e-wida-e-dost
virana tha nazar mein jahan tak nazar gai
har maujh-e-ab-e-sindh hui waqf-e-pech-o-tab
'mahrum' jab watan mein hamari KHabar gai
Ghazal
Is ka gila nahin ki dua be-asar gai
Tilok Chand Mahroom