اردو हिंदी
Is jism ki hai panch anasir se banawaT | Shaahi Shayari
is jism ki hai panch anasir se banawaT

Ghazal

Is jism ki hai panch anasir se banawaT

Sahir dehlavi

;

is jism ki hai panch anasir se banawaT
aql-o-dil-o-pindar ki sari hai bunawaT

hain hafiza idrak tamiz aur taKHayyul
afali-o-ilmi KHamasat us ki sajawaT

tamir jin ajza se hui KHana-e-tan ki
hai jaan se un sab ki numudar dikhawaT

aate hue is tan mein na jate hue tan se
hai jaan-e-makin ko na lagawaT na rukawaT

insaf ki mizan mein use tol to 'sahir'
sab sach hai nahin jhuT ki kuchh us mein milawaT