is jahan se koi bhi sauda na kar
dekh apne aap ko ruswa na kar
chhin kar yaadon ka sarmaya meri
is bhari mahfil mein yun tanha na kar
ajnabi hun ajnabi hi rahne de
is tarah meri taraf dekha na kar
pattharon ki choT sah leta hun main
phul yun meri taraf phenka na kar
kar 'sahar' ki aabru ka kuchh KHayal
mahfil-e-aghyar mein charcha na kar

Ghazal
Is jahan se koi bhi sauda na kar
Ramzan Ali Sahar