is intishaar ka koi asar bhi hai ki nahin
tujhe zawal ki apne KHabar bhi hai ki nahin
kahin fareb na deti hon mil ke kuchh maujen
jahan tu Dub raha hai bhanwar bhi hai ki nahin
yaqin karne se pahle pata laga to sahi
ki tere dil ki sada mo'tabar bhi hai ki nahin
ye roz apne taaqub mein dar-ba-dar phirna
bata masafat-e-hasti safar bhi hai ki nahin
kabhi tu apne KHazine uchhaal sahil par
kisi sadaf mein ye dekhen guhar bhi hai ki nahin
main jis ki shaKH pe chhoD aaya aashiyan apna
ye sochta hun ki ab wo shajar bhi hai ki nahin
hawa se le to liya Dher sukhe patton ka
na jaane rakh mein meri sharar bhi hai ki nahin
main jis ke chaak pe rakkha hun 'shad' Dhalne ko
mujhe to shak hai ki wo kuza-gar bhi hai ki nahin
Ghazal
Is intishaar ka koi asar bhi hai ki nahin
Khushbir Singh Shaad