is iltifat par koi daman na tham le
hai maslahat yahi ki taghaful se kaam le
kuchh der ki KHushi se to behtar hai gham mujhe
meri taraf na dekh na mera salam le
main bhi to teri bazm mein aaya hun der se
ab tu bhi mujh se ho ke KHafa intiqam le
ji bhar ke pahle apni nazar se pila mujhe
warna ye mai-kada le surahi le jam le
meri nigah-e-shauq pe phir kijiyo nazar
pahle zara KHud apne kaleje ko tham le
mahfil mein sab ke samne dad-e-ghazal na de
yun dil hi dil mein shauq se lutf-e-kalam le
jis ne kabhi KHulus bhi manga na ho tera
is ahl-e-dil ka nam ba-sad-ehtiram le
jine na denge dekhne wale kabhi hamein
achchha ye hai ki jabr-e-mohabbat se kaam le
hai dekhna hi meri taraf to ba-ehtiyat
mahfil mein pahle jaeza-e-KHas-o-am le
tera hun aur tera rahunga tamam umr
lekin mere liye na koi ittiham le
milna nasib mein hai to mil jaenge kabhi
jaan-e-'shamim' sabr-o-tahammul se kaam le

Ghazal
Is iltifat par koi daman na tham le
Shamim Jaipuri