is haqiqat ka hasin KHwabon ko andaza nahin
zindagi wo ghar hai jis mein koi darwaza nahin
shab ke kase mein tha kitne mahtabon ka lahu
subh ke tare ko shayad is ka andaza nahin
rang laegi kabhi to mere zaKHmon ki shafaq
kya hua ru-e-tamanna par agar ghaza nahin
ek aansu hun KHushi ki aankh se ruTha hua
main kisi ki muntashir palkon ka shiraaza nahin
kyun bahaar aati nahin dil ke KHarabe ki taraf
kya teri shadab zulfon ki hawa taza nahin
likh rahi hai kyun meri ruhaniyat aayat-e-kufr
ye kahin duzdida KHwabon ka to KHamyaza nahin
kis ko dekha band darwazon ne aankhen khol kar
'prem' tujh ko un ki aamad ka bhi andaza nahin
Ghazal
Is haqiqat ka hasin KHwabon ko andaza nahin
Prem Warbartani