is hadse ko dekh ke aankhon mein dard hai
apni jabin pe apne hi qadmon ki gard hai
aa thoDi der baiTh ke baaten karen yahan
tere to yar lahje mein apna sa dard hai
kya ho gain na jaane teri garm-joshiyan
mausam se aaj hath siwa tera sard hai
tariKH bhi hun utne baras ki moarriKHo
chehre pe mere jitne baras ki ye gard hai
ai raat tere chand sitaron mein wo kahan
bujhte hue charagh ki lau mein jo dard hai
'azhar' jo qatl ho gaya wo bhai tha magar
qatil bhi mere apne qabile ka fard hai
Ghazal
Is hadse ko dekh ke aankhon mein dard hai
Azhar Inayati