is girya-e-paiham ki aziyyat se bacha de
aawaz-e-jaras ab ke baras mujh ko hansa de
ya abr-e-karam ban ke baras KHushk zamin par
ya pyas ke sahra mein mujhe jina sikha de
main bhi teri KHushbu hun meri samt bhi tu dekh
mohlat tujhe gar silsila-e-mauj-e-saba de
suraj ne mujhe barf kiya hai to tujhe kya
kiya tujh ko agar barf mujhe aag laga de
aisa bhi nahin hai ki faqat KHak-nashin hun
aa jae hawa aa ke meri KHak uDa de
KHushbu ki tarah dar-badri KHu ho meri gar
hai shak to mujhe meri nigahon mein gira de
kanTe ki jarahat se bhi mar jate hain kuchh log
rakh hausla itni bhi na ab KHud ko saza de
ya rab teri rahmat ka talabgar hai ye bhi
thoDi si mere shahr ko bhi aab-o-hawa de
kya tera bigaDta hai agar chandni shab tu
ek bar mujhe phir meri aawaz suna de
Ghazal
Is girya-e-paiham ki aziyyat se bacha de
Wazir Agha