is ghani shab ka sawera nahin aane wala
ab kahin se bhi ujala nahin aane wala
jibrail ab nahin aaenge zamin par hargiz
phir se aayat ka tohfa nahin aane wala
ho gae dafn shab-o-roz purane kab ke
lauT kar phir wo zamana nahin aane wala
peD to sare hi be-barg hue jate hain
dhup to aaegi saya nahin aane wala
ye bhi sach hai ki ajal ban ke khaDe hain amraaz
ye bhi tai hai ki masiha nahin aane wala
hum ko sahna hai akele hi har ek dard ka bojh
KHair-KHwahon ka dilasa nahin aane wala
mere afkar ke sote nahin thamne wale
meri sochon pe buDhapa nahin aane wala
nae lafzon ko baratne ka saliqa bhi to ho
sirf alfaz se lahja nahin aane wala
jhuT be-panw bhi dauDega bahut tez 'KHumar'
lab pe sachchai ka charcha nahin aane wala
Ghazal
Is ghani shab ka sawera nahin aane wala
Suleman Khumar