is gham ko gham kahen to kahen sau mein hum ghalat
barson tumhaare gham se kiya hum ne gham ghalat
kahna ye tum se hai ki falak darmiyan na ho
rasm-e-sitam durust hai tarz-e-sitam ghalat
kis ko tere itab ki duniya mein tab hai
dam ki koi kahe to ghalat ek dam ghalat
insan ka hawa pe madar-e-hayat hai
kya zindagi mein jaan hai dam ka bharam ghalat
wo bhi KHiram-e-naz se bhula hai chaukDi
karta hai ab to aahu-e-sahra bhi ram ghalat
'natiq' KHayal-e-ishq baja fikr-e-aish rast
kis wahm mein paDa hai ye donon baham ghalat
Ghazal
Is gham ko gham kahen to kahen sau mein hum ghalat
Natiq Gulavthi