is ek soch mein gum hain KHayal jitne hain
jawab utne nahin hain sawal jitne hain
jo sazishon ko kuchalne ki baat karta hai
bune hue hain usi ke ye jal jitne hain
usi ki den hain ye sab usi ke tohfe hain
hamari fikr ke shishe mein baal jitne hain
hamin ne chubhte masail ki mezbani ki
hamin ne pal rakhe hain wabaal jitne hain
tumhaari bazm hai aabaad KHush-mizajon se
hamare sath hain aashufta-haal jitne hain
hamare ahd mein lafzon ne kho diya mafhum
uruj ban ke khaDe hain zawal jitne hain
yaqin nahin hai tahaffuz ka ab kisi ko 'KHumar'
har ek zehn mein hain ehtimal jitne hain
Ghazal
Is ek soch mein gum hain KHayal jitne hain
Suleman Khumar