is doshiza miTTi par naqsh-e-kaf-e-pa koi bhi nahin
jhaDte phul barasti barish tez hawa koi bhi nahin
ye diwaren aur darwaze sab aankhon ka dhoka hai
kahne ko har bab khula hai aur khula koi bhi nahin
chehre jaane-pahchane the ruhen badli badli thin
sab ne mujh se hath milaya aur mila koi bhi nahin
ek se manzar dekh dekh kar aankhen dukhne lagti hain
is raste par peD bahut hain aur hara koi bhi nahin
uDta baadal chehre bunta aur miTata jata hai
lakhon aankhen dekh rahi thin lekin tha koi bhi nahin
jis ke bich ghira baiTha hun Dher hai bite lamhon ka
sab meri jaanib aae hain aur gaya koi bhi nahin
jalti miTTi sukhe kanTe gahre pani tikhe sang
sab KHatre panw ke niche sar pe bala koi bhi nahin
harf likhun to paDhne wale kya kya nauhe sunte hain
kan dharun to in harfon mein saut-o-sada koi bhi nahin
Ghazal
Is doshiza miTTi par naqsh-e-kaf-e-pa koi bhi nahin
Shahzad Ahmad