is dil se mere ishq ke arman ko nikalo
tahrir se auraq-e-pareshan ko nikalo
mumkin hai tahi kar do mujhe har kisi shai se
mumkin ho agar dil se is iman ko nikalo
gar dur talak bab ke imkan nahin hain
diwar mein ek rauzan-e-zindan ko nikalo
jis ko hai bharam aaj bhi paiman-e-wafa ka
sine se mere us dil-e-nadan ko nikalo
patjhaD mein bhi har gul pe bahaar aae yaqinan
gulshan se agar mausam-e-hijran ko nikalo
tab ja ke laga paoge dil apna KHizan se
pahle to is ummid-e-bahaaran ko nikalo
tanhai chali aae khula jaan ke ek dar
palkon se agar yaad ke darban ko nikalo
sahraon mein phir dur talak saf hai manzar
aankhon se agar ret ke tufan ko nikalo
aashufta-saron par bhi nazar jaegi 'nayab'
gardan se agar sar-ba-gareban ko nikalo
Ghazal
Is dil se mere ishq ke arman ko nikalo
Nitin Nayab