is dil mein apni jaan kabhi hai kabhi nahin
aabaad ye makan kabhi hai kabhi nahin
ghairon ki baat kya kahun is ki to yaad mein
apna bhi mujh ko dhiyan kabhi hai kabhi nahin
wo din gae jo karte the hum muttasil fughan
ab aah-e-na-tawan kabhi hai kabhi nahin
jis aan mein rahe tu use jaan mughtanim
yan ki har ek aan kabhi hai kabhi nahin
ayyam-e-wasl par to bharosa na kijiyo
ye waqt meri jaan kabhi hai kabhi nahin
aadat jo hai hamesha se us ki so hai gharaz
wo hum pe mehrban kabhi hai kabhi nahin
is dosti ka teri talawwun-mizaji se
apne tain guman kabhi hai kabhi nahin
maghrur hojiyo na is auj-o-hasham pe tu
yan ki ye izz-o-shan kabhi hai kabhi nahin
aashiq kahin hua hai 'hasan' kya hai us ka haal
ye aap mein jawan kabhi hai kabhi nahin
Ghazal
Is dil mein apni jaan kabhi hai kabhi nahin
Meer Hasan