is dil mein agar jalwa-e-dil-dar na hota
zinhaar ye dil mazhar-e-asrar na hota
hota na agar jam-e-mai-e-ishq se sarshaar
hargiz dil-e-diwana ye hoshyar na hota
hota na agar us ki mohabbat se sarokar
ye gham-zada ruswa sar-e-bazar na hota
hoti na kabhun is dil-e-bimar ko sehhat
gar lutf-e-masiha-e-lab-e-yar na hota
pita na agar jam-e-mai-e-ishq to hargiz
dil sirr-e-haqiqat se KHabar-dar na hota
hota na agar aaina-e-jalwa-e-dildar
dil mahr-sifat matla-e-anwar na hota
hota na agar ishq ko manzur ye izhaar
wahdat se ye kasrat ko sarokar na hota
aagah haqiqat se na hota kabhu 'asim'
KHadim ka agar faiz madad-gar na hota

Ghazal
Is dil mein agar jalwa-e-dil-dar na hota
Shah Aasim