is dil ko kya kahen ki jidhar tha udhar na tha
tha jis pe eatibar wahi mo'atabar na tha
the rah mein hazar koi rah par na tha
hamrah to bahut the koi ham-safar na tha
ahl-e-hawas tamam the aaghosh wa kiye
par apni tarah ek bhi sina-sipar na tha
parwaz thi faza-e-zaman-o-makan se dur
main be-niyaz-e-dahr tha be-baal-o-par na tha
har-su basi hui thi magar DhunDte kahan
KHushbu ka koi rang na tha koi ghar na tha
apni hi kuchh kami thi jo nakaam hum hue
dil kar-band-e-shauq to tha kar-gar na tha
'baqar' hawa-e-shauq uDae phiri mujhe
main KHanuman-KHarab sahi dar-ba-dar na tha
Ghazal
Is dil ko kya kahen ki jidhar tha udhar na tha
Sajjad Baqar Rizvi