is dil ki imarat mein tum jalwa dikha jaana
ya nur-e-mubin ban kar aankhon mein sama jaana
apna to shikasta-dil ek KHana-e-viran hai
qadmon se ise apne aabaad bana jaana
ushshaq ke marqad par hasrat yahi kahti hai
tum fitna-e-mahshar ho soton ko jaga jaana
un KHak-nashinon se milna tumhein lazim hai
ushshaq ke kuche mein bhule se tu aa jaana
muddat se piyasa main baiTha hun tere dar par
ek jam mohabbat ka KHud aa ke pila jaana
is gardish-e-qismat ne sar-gashta kiya yan bhi
ai KHizr-e-rah-e-ulfat tum rah bata jaana
aae na sar-e-baalin gar mere dam-e-murdan
ab bahr-e-dua dilbar marqad pe to aa jaana
kya kya na jafa mujh pe hoti hai shab-e-furqat
ulfat ne teri mujh ko paband-e-wafa jaana
ye ishq 'jamila' ka ai KHizr-e-rah-e-ulfat
mahbub ke jalwe ko asrar-e-KHuda jaana
Ghazal
Is dil ki imarat mein tum jalwa dikha jaana
Jameela Khuda Bakhsh