is dhup se kya gila hai mujh ko
sae ne jala diya hai mujh ko
main nala-e-sukut sang ka hun
sahra ne bahut suna hai mujh ko
main lafz ki tarah be-zaban tha
mani ne ada kiya hai mujh ko
har sach ka nasib sang-sari
aur sach hi se wasta hai mujh ko
KHaif nahin marg-e-na-gahan se
sine ka wo hausla hai mujh ko
patthar pe meri sada ka saya
aaina dikha raha hai mujh ko
aawaz de mujh ko tirgi mein
aawaz hi naqsh-e-pa hai mujh ko
Ghazal
Is dhup se kya gila hai mujhko
Shahab Jafri