is daur mein taufiq-e-ana di gai mujh ko
kis jurm ki aaKHir ye saza di gai mujh ko
main ne jo kiya fasl-e-bahaaran ka taqaza
ek phul ki taswir dikha di gai mujh ko
ye kaun mere nam ko dohra sa raha hai
shayad kisi gumbad mein sada di gai mujh ko
wo un ka milana mujhe ek sahab-e-zar se
auqat meri yaad dila di gai mujh ko
pahle to nawaza gaya main KHilat-e-gham se
phir shahriyat-e-mulk-e-wafa di gai mujh ko
hairat hai ki is bar buzurgon ki taraf se
takmil-e-mohabbat ki dua di gai mujh ko
kuchh nama likhe hi the abhi mere qalam ne
kaghaz ki tarah aag laga di gai mujh ko
gum ho gaya masti mein taDapne ka maza bhi
kya chiz 'qatil' aaj pila di gai mujh ko
Ghazal
Is daur mein taufiq-e-ana di gai mujhko
Qateel Shifai

