اردو हिंदी
Is daur mein har ek tah-e-charKH-e-kuhan luTa | Shaahi Shayari
is daur mein har ek tah-e-charKH-e-kuhan luTa

Ghazal

Is daur mein har ek tah-e-charKH-e-kuhan luTa

Hatim Ali Mehr

;

is daur mein har ek tah-e-charKH-e-kuhan luTa
auron ka zar luTa mera naqd-e-suKHan luTa

KHalwat-nashin ho to dil-e-ashiq mein kar jagah
yun daulat-e-jamal na ai sim-tan luTa

bulbul ko kaisi kaisi huin aafaten nasib
gulchin ke dast-e-zulm se kya kya chaman luTa

fariyaad tak KHuda se na ki ai sanam teri
main be-zaban tere yahan ai be-dahan luTa

nabbash ki jafaen huin hum pe baad-e-marg
ai aasman zer-e-zamin bhi kafan luTa

jhonke chale hawa ke pareshan hui wo zulf
KHushbu tamam phaili hai mushk-e-KHutan luTa

'hatim' wo hun ki baad-e-fana dil ko dun salah
ab qabr mein bhi KHak uDaya kafan luTa

be-dil suKHan hun 'mehr' paDhun sinn-e-isawi
auron ka zar luTa mera naqd-e-suKHan luTa