اردو हिंदी
Is daur ki palkon pe hain aansu ki tarah hum | Shaahi Shayari
is daur ki palkon pe hain aansu ki tarah hum

Ghazal

Is daur ki palkon pe hain aansu ki tarah hum

Qaisar-ul-Jafri

;

is daur ki palkon pe hain aansu ki tarah hum
kuchh der mein uD jaenge KHushbu ki tarah hum

baDh kar kisi daman ne bhi hum ko na sambhaala
aankhon se Tapakte rahe aansu ki tarah hum

kis phul se bichhDe hain ki phirte hain pareshan
jangal mein bhaTakti hui KHushbu ki tarah hum

ab din ke ujale mein hamein kaun pukare
chamke the kabhi raat mein jugnu ki tarah hum

har moD pe aain tere daman ki hawaen
har chhanw ko samjhe tere gesu ki tarah hum

'qaisar' hamein duniya ne samajh kar bhi na samjha
uljhe hi rahe kakul-e-urdu ki tarah hum