is daur ka har aadmi ayyar ho gaya
apna zamir bech ke sardar ho gaya
KHidmat ki fikr hai na kisi ka zara KHayal
KHadim hamari qaum ka ghaddar ho gaya
samjho ki KHauf us ko bhi chingariyon ka hai
barud ka jo mulk KHaridar ho gaya
din raat luT rahi hain gharibon ki bastiyan
sargarm jab se luT ka bazar ho gaya
sar chaDh ke bolta hai har ek aadmi ke wo
qabze mein jis ke aaj ka aKHbar ho gaya
itni si baat par main aziyyat-nasib hun
sachchai ka zaban se izhaar ho gaya
rahbar lage hain karne yahan rahbari ka kaam
rahe har ek rasta dushwar ho gaya
Ghazal
Is daur ka har aadmi ayyar ho gaya
Manzoor Ali Rahi