is daur-e-be-dili mein koi baat kaise ho
chahen bhi hum to KHud se mulaqat kaise ho
kaTe nahin gae to mere hath kaise ho
mere nahin ho tum to mere sath kaise ho
patthar baras rahe hain to mujh par bhi aaenge
main chup rahun magar basar-auqat kaise ho
kuchh dekhte nahin ho to bina ho kis liye
ThanDe paDe hue ho to jazbaat kaise ho
tum qaidiyon ki tarah mere dil mein ho asir
phaile nahin jahan mein KHayalat kaise ho
is raushni mein chehra chhupaoge kab talak
tum mangte ho raat magar raat kaise ho
suraj na chahta ho to din kis tarah Dhale
baadal hi ruTh jaen to barsat kaise ho
wo chahte hain un ke liye main dua karun
shamil is aarzu mein meri zat kaise ho
bande ka aur KHuda ka talluq hi miT chuka
patthar hui zaban munajat kaise ho
aisa koi jo meri zaban bhi samajh sake
tum ajnabi ho tum se meri baat kaise ho
main apne dushmanon ko bhi pahchanta nahin
'shahzad' doston se mulaqat kaise ho
Ghazal
Is daur-e-be-dili mein koi baat kaise ho
Shahzad Ahmad