is daur-e-afiyat mein ye kya ho gaya hamein
patta samajh ke le uDi wahshi hawa hamein
patthar bane hain ijz bayanon ke samne
taKHliq-e-fan ka KHub mila hai sila hamein
hum ko tulu-e-subh-e-bahaaran ki thi talash
is jurm ki saza hai ye zanjir-e-pa hamein
ye daur-e-tez-gam bhi hai un se be-KHabar
wo manzilen jo de gain apna pata hamein
rah-e-talab simaT ke qadam chumne lagi
jab bhi koi harif-e-safar mil gaya hamein
zulmat ka daur kuchh bhi sahi satr-posh tha
kab raushni ne jeb-o-gareban diya hamein
pas-manzar-e-bahaar se hum be-KHabar na the
ras aa saki na KHanda-e-gul ki sada hamein
hum ko to nazr-e-sail hue umr ho gai
kashti mein DhunDhta hai magar naKHuda hamein
Ghazal
Is daur-e-afiyat mein ye kya ho gaya hamein
Zaheer Kashmiri